Poori raat jagne ke baad, main subah ke pehli kirano ke sath Golden Temple ke darshan kar leta hoon. Lekin ab meri aankhen neend ki kami ki wajah se band hone lagi thi, thakan ne mujhe apni god mein le liya tha. Main kisi sukoon bhari jagah ki talash mein tha jahan main apni neend aur thakan ko door kar sakta.
Golden Temple ke locker room se apna bag le kar, main mandir se bahar nikal kar room ki talash me batakte hue 800 meter ki doori par ek kamra dhoondh leta hoon. Mandir mein bheed hone ke karan, mandir ke aas-paas ke sabhi rooms pahle se hi booked the.
Maine jaldi-jaldi room ki chabi leli aur apne kamre ki or nikal pada. Kamre ko kholkar dekhta hoon - ek medium size ka bed, ek pankha jo itna tez chal raha hai ki hawa aaram se mehsoos ho, lekin thoda awaz kar raha hai, aur sath mein ek attached bathroom. Main apna bag kisi kone mein rakh deta hoon aur bed pe gir jata hoon.
Phir jo maine soya... Aahaa...! Shayad maine kabhi aisi neend pehle nahi soya tha. Yeh aisa lag raha tha jaise mere liye samay ruk gaya ho, aur main ek alag duniya mein kho gaya hoon, jahan koi bhi vyakulata ya thakaan nahi thi, bas shanti aur sukh tha.
Meri nind karib 2 baje khoolti hai or aisa fresh mehsoos ho raha tha ki maine abhi abhi dharti par kadam rakhe hon. Main washroom jata hoon fresh hokar kapade change kar leta hoon. Ab mai ready ho jata hoon apane agale padaav Wagha Border ke liye. Wagha border janha Josh hamesha High rehata hai…Sir.
Main room se nikal kar Tempo stand ke liye rawana hota hoon. Main mast magan hokar Golden Temple ke rasto pe aage badhe ja raha tha. Main logon ko or aaspass ki ho rahi ghatnao ko dekhate huye aage badh raha tha. Tabhi meri nazar parathe or lassi ki dukaan par jati tab mehsoos hota hai ki… are maine to subah se kuchh khaya nahi hai or bhookh bhi lagi hai. Tab mai 2 parathe or ek lassi order karta hoon jisase mera pet ekdam mast bhar jata hai.
Pet puja karne ke baad, main Tempo Stand ki taraf badhna shuru karta hoon. Lagbhag 3 baje, main wahaan pahunch jaata hoon, jahan se ek-ek karke Tempo Wagah Border ke liye rawana ho rahi thi. Fir, maine bhi ek Tempo mein baith liya. Yahaan bhi meri kismat achhi thi, kyunki mujhe Tempo ki piche wali seat mili, jo main chahta tha. Tempo, Amritsar ki patli aur congested galiyon se hote huye road par pahunch jati hai.
Tempo ke pichhe se main Amritsar ke un anjaan raasto se rubaroo ho raha tha. picche se najara kuchh aisa tha, road se sate ye lambe -lambe sedhe ped, beech-beech me aate ye khet khaliyaan raste ki khoobsoorti badha rahe the. Ek sardar ji apani muchho ko tav dete huye bike chala rahe the aur apane piche baithe sathi se buland awaj me baate kar rahe the. Pichhe se aa rahi Tempo Ki awaj ek madhoor sangeet bana rahi thi. Aise hi kai lamhon ko apni aankho me samite huye Wgha Border ki taraf Badhta ja raha tha. Golden Temple se Wagah border ki doori lagbhag 35km or hum 1 ghante me wanha pahuch chuke the. Desh ke har state se aaye log dekhate hi dekhate stadium 5 minute me bhar jate hai.
Barish badi tez ho rahi thi mai apane phone ko bachate huye, ek jagah pakad leta hnoo janha se main kuch moment capture kar sakoon. Jaise hi maine video ke record button ko press kiya waise hi mere raungte khade hogaye aisa lag raha tha ki meri body me electricity supply ho gayi ho. Aaisa isliye huaa kyunki ussi samay “kandho se kandhe milte hai kadmo se kadam….” Ki gunj kano pe paddti hai. Wo feel mai shabdon me bayan nahi kar sakta.
Retreat Border ceremony kareeb 5 baje start ho jati hai or ek ke baad ek events hone lagate hai. Pure stadium me ek festival ka mahol ho jata hai. Ceremony 1 ghante baad khatam ho jati hai or sabhi stadium se bahar nikalne lagte hai. Main bhi nikal padta hoon Tempo Stand ke pass apni Tempo pakadne.
Tempo Stand ke pass kafi bheed ho gayi thi, maine apne tempo wale se baat ki or usne mujhe kisi or ki tempo me baitha diya. Main bhi khush hokar baith gaya ye sochate huye ki chalo achha huaa jaldi tempo mil gayi warna kafi time lag jata. Lekin jaise hi kuchh door pahuche to tempo me baithe doosre logon se tempo wale ki kaha suni ho gayi or usne mujhe beech rah me tempo se niche utar diya or kaha “aap picche aarahi tempo me aajao”. Dispute ko shant karne ke liye main tempo se utter jata hnoo.
Janha usne mujhe utara wanhi par ek chai ki dookan thi, wanhi 3 bikes luggage se fully loaded thi, aage jakar dekha to pata chala ki 3 biker hai jo abhi rest or khane pine ke liye is chai ki dukan par ruke huye hai. Main jata hoon thoda Hi.. Hello karta hoon or unse unki yatra ke bare me puchata hnoo to pata chalta hai ki wo log Kanyakumari to Kashmir Bike ride kar rahe hai. Wo sab kerala se the or unka 15 days ka plan jisme se ye unka 5th day tha. Main unka haal chaal leta hnoo or aage ke safar ke liye best wishes deta hoon. Tab tak meri Tempo aa chuki thi or main baith jata hnoo or kareeb 9 baje tak apne room par pahoch jata hnoo.
Ab agala destination bahot hi adventure or mushkilo bhara hoga kyunki next mai Uttarakhand ke liye tayari karunga. Aap se fir milunga ek or adventures story ke saath, tab tak aap apna or apno ka khayal rakhe or mere blog ko payar dete rahe… dhanyawad.