Card image
Nandi Hills

Ek aisi raat jab main so nahi paaya kyunki mujhe jana tha swarg jaisi jagah pe

BY Neeraj Jaiswal 452 days ago

Nandi Hils
 

Main abhi Karnataka Express train mein baitha hoon, jismein thodi bhid hai, lekin mujhe khushkismatise upper wali seat mili hai. Maine is train ko Karnataka ke Yadgir station se lagbhag 2 baje pakda tha, jo mujhe raat ke 12 baje tak Bangalore Cant station pohochayegi. Main apne bade bhai se milne ja raha hoon, jo Bangalore mein ek IT company mein kaam karte hain. Main unse miloonga, aur usi mauke se mujhe Bangalore ko explore karne ka bhi mauka milega. 10 ghante ki train yatra ke baad, main raat ke 12 baje tak Bangalore Cant station pohoch gaya.

 

 
      

 

Maine Bangalore kabhi visit nahi kiya tha aur kyunki yeh mere liye ek naya jagah hai, mujhe thodi ghabrahat ho rahi thi, khaaskar station jo bilkul suna-sa tha aur raat ke samay mein bhi pohoch gaya tha. Mere bhai ka PG station se lagbhag 40 kilometer door tha, aur main apne aap se soch raha tha ki itni raat ko kya mujhe taxi milti hai ya nahi. Agar main pohoch gaya to kya PG owner mujhe andar aane dega ya nahi, yeh bhi ek sawal tha. In sabhi sawalon ke saath main station se bahar nikla.

Thoda time struggle ke baad, mujhe ek taxi mili aur main karib 2 baje raat ko apne bhai ke paas pahunch gaya, aur PG mein aaram se chale gaya. Maine thoda sa khana khaya aur phir so gaya.

 
Agale din maine aaram kiya aur socha ki kaun-kaun se jagah mujhe dekhne jaana hai. Tab mujhe Nandi Hills ke baare mein pata chala. Wow... kya jagah hai bhai! Yeh aisa hai jaise Indra loka ho. Maine uske tasveeren dekhi aur mujhse raha nahi gaya, mere liye to woh sach mein swarg ke nazare jaisa lag raha tha. Main apne aap ko rok nahi paya aur agle din jaane ka plan bana liya. Par yeh asaan nahi hoga. Nandi Hills mere current location se 65 kilometer door hai aur yeh January mahina hai jahan subah ke samay temperature karib 10 degree Celsius tak gir jayega. Agar aap chahte hain ki woh ghane badal pahaadon ko gher lein aisa nazara, toh humein suraj ugne se pehle wahan pohochna hoga. Lekin maine faisla kar liya hai, main jaaunga, chahe jo bhi ho

 

 

 

Maine apne bhai se bike ke liye pucha, aur unki madad se bike mil gayi. Ab mujhe bas kuchh zaroori saman lena hai, jaise ek woolen cap, jacket, gloves, aur ek scarf jaise kapde, taki main apni naak ko dhak sakoon. Yeh mere liye ek anokha adventure hone wali hai. Maine apna saara saman tayyar rakha hai, aur ab mujhe agle subah ka intezaar hai... Main 3:30 am ke liye alarm set kiya hai. Dekho, mere utsah ko dekho, main puri raat soya hi nahi, bas Nandi Hills ke khayalon mein dooba raha. Nazare mere aankhon ke saamne aa rahe the, woh images ka jadoo jo maine internet par dekha tha.

Ab samay 3:30 ho chuka hai, aur main tayyar hokar apne bag ke saath khada hoon.Ek ajeeb si feeling aur tej dhadkan ke saath, maine ghar se nikala. Yeh ek anjaani jagah hai, subah ke 3:45 am, andhera chhaya hua hai, 65 kilometer lamba safar aur anjaane raaste, lekin phir bhi mujhe jaana hai... Maine bike start ki, aur jaise hi main gate ke bahar nikla, raste par kuch hi door par ek jhund kutte the. Itne saare kutton ko dekh kar main dar gaya, kyunki uss pure raaste par main aur woh kutton ka jhund hai. Mujhe poori tarah se yaqeen tha ki yeh kutte mujhe mushkilat dalne wale hain.

Jaise-jaise main aage badhta gaya, unka jhund bhaunkna shuru kar diya (bhow... bhow). Main phir kuchh samay ke liye ruka, aur slow speed mein aage badhta raha, unhe awaz karne diya... aur main aage nikal gaya. Hufff... bach gaye...

 

 

Ab maine main road par aagaya, jahan par gadiya ekka dukka chal rahi thi. Mai sahi raste ke liye Google Maps ko chalu rakha tha. Raste par maine kai baar ruk kar check kiya, kya main sahi raah par hoon ya nahi. Jaise-jaise main aage badh raha hoon, mujhe aur log dikhayi dene lage. Kuchh log Bounce (scooty rental app) ki Activa pe the, kuchh Bike par the, kuchh akele the aur kuchh groups mein the, lekin sabhi Nandi Hills ki ore ja rahe the.

Bike chalate waqt helmet ke visor par cold weather ki wajah se baap jam rahi thi, temperature kuchh 11-12 degree Celsius ke aaspass tha, aur thand ki wajah se mere haath ab thande ho kar sunn pad rahe the. Kuchh der ke liye maine ruk kar ek garam chai pi li, phir uske baad turant nikal pada, kyunki mujhe late nahi pahuchna tha. Sunrise se pehle mujhe Nandi Hills ki choti par pahuchna tha.

 

2 ghante 15 minute ki akeli ride ke baad, main akhir Nandi Hills ke shikhar par pahuch gaya. Surya ab bas kuchh hi palon mein apni kiranon ko bikherne wala hai. Main behad khush hoon, kyunki maine sunrise se sirf 45 seconds pehle yahan pohoch gaya hoon, aur main har ek pal ko mahsoos kar raha hoon, intezar kar raha hoon suraj ki pahli kirano ka..

Sabki nigahein asman me suraj ko dhoondh rahi hain, aur yahan hain kuch tasveerein jo maine aapke liye capture ki hain, sirf aapke liye pyaare dosto... Umeed hai aapko yeh yatra ki kahani pasand aayi hogi. Please apne vichar aur pasand (comment aur like) humse saanjha karein!

 

 
            
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 

post will be added

Comment

Enter Your Comment Here..

  • Surya
    Sept. 4, 2023, 9:53 p.m.

    Is this location is far away from station?

    Comment

    Reply to Surya...

  • Neeraj Jaiswal
    Sept. 3, 2023, 6:01 p.m.

    nice place must visit

    Comment

    Reply to Neeraj Jaiswal...

    • suraj
      Sept. 3, 2023, 6:02 p.m.

      yes yes must visit